KhetiKyari App download kare
KhetiKyari ek smart kheti app hai jo khashkar Bhartiy Kisaan aur Farmers ke liye banayi gayi hai. Iska uddeshy hai ki Kisaan behtar Kheti karein, zyada kamaai karein aur naye farming tariko ke saath jagruk rahein. Yeh app gyan, samuday aur visheshagy maargadarshan ko ek aasan madhyam par lekar aati hai. Chahe koi Kisaan gehun, chawal, sabziyaan ya phal ki Fasale ugata ho, KhetiKyari unhe upyogi aur aasan bhasha mein behtar tarike samajhne mein madad karti hai.
Home Tab
Home section mein Kisaano ko kheti se jude upyogi videos milte hain. Beej chunne se lekar katne tak, har kadam ko saf tareeke se samjhaya jata hai. Isse Farmers ko lambi guides padhne ki zarurat nahi padti aur wo sidha apni Fasal par naye tarike laagu kar sakte hain.
Reel Tab
Is section mai chhote aur lokpriya krishi video milte hain. Inmein smart sujhav, naye vichaar, safalta ki kahaniyaan aur aadhunik Kheti ke tareeke bataye jaate hain. Inhe dekhkar Bhartiy Kisaan apni Fasalo mein turant sudhaar laa sakte hain.
Tractor Tab
Tractor section mein mein Farmers bazaar mein uplabdh behtar tractor aur krishi upkaran dekh sakte hain. Yeh unhe tulna karne mein madad karta hai taaki ve apni zameen, Fasal aur Mousham ke anuroop sahi truck or upkaran chun sakein.
Blogs Tab
Yeh gyaan ka kendra hai jahan Kisaano ko krishi samachar, visheshagya salaah aur vistaar se likhe lekh milte hain. Agar kisi Bhartiy Kisaan ko apni Fasal ya Fasalo mein samasya aaye, to ve apna prashn bhej sakte hain aur visheshagyon se sahi margdarshan paa sakte hain.
Profile Tab
Is tab mein Kisaan apni pehchaan bana sakte hain. Ve apni Kheti ke video saanjha sakte hain, anubhav bata sakte hain aur anya Farmers se jud sakte hain.
Lekin sabhi video KhetiKyari ki jaanch prakriya se guzarte hain, taaki koi bhramit karne wali ya galat jaankari na phaila sake. Isse sunishchit hota hai ki sirf satyapit aur bharosemand samagri hi Kisaano tak pahunche.
KhetiKyari sirf ek app nahi hai, balki har Bhartiy Kisaan ka digital saathi hai jo unhe har Mousham mein behtar Kheti karne aur apni Fasalo se adhik laabh kamaane mein sahayata karta hai.